kaun deta raha sahra men sada meri tarah
aaj tanha huun magar koi to tha meri tarah
main tiri raah men pamal hua jaata huun
miT na jaa.e tira naqsh-e-kaf-e-pa meri tarah
main hi tanha huun faqat teri bhari duniya men
aur bhi log hain kya mere ḳhuda meri tarah
rang-e-arbab-e-raza-e-pesha mubarak ho tujhe
koi hota hi nahin tujh se ḳhafa meri tarah
kis ko hasil ho tiri chashm-e-siyah ke aage
mansab-e-silsila-e-jurm-o-ḳhata meri tarah
ashna kaun hai naqsh-e-qadam-e-nik.hat ka
yaad kis ko hai tire ghar ka pata meri tarah
‘shaz’ taara nahin TuuTa koi dil TuuTa hai
raah takta tha shab-e-gham koi kya meri tarah
Leave a Reply