• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kasrat-E-Jalwa Ko Aaina-E-Wahdat Samjho

Kasrat-E-Jalwa Ko Aaina-E-Wahdat Samjho

kasrat-e-jalva ko a.ina-e-vahdat samjho

jis ki surat nazar aa.e vahi surat samjho

gham ko gham aur na musibat ko musibat samjho

jo dar-e-dost se mil jaa.e ghanimat samjho

jhuk ke jo sainkaḌon fitnon ko jaga sakti hain

vo nigahen agar uTThen to qayamat samjho

nahin hote hain riya-kari ke sajde mujh se

main agar sar na jhuka.un to ibadat samjho

rafta rafta miri ḳhuddari se vaqif hoge

abhi kuchh din mire andaz-e-mohabbat samjho

jalva dekhoge kahan dil ke alava apna

mire TuuTe hue a.ine ki qismat samjho

kam nahin duur asiri men sahara ye bhi

qaid men yad-e-nasheman ko ghanimat samjho

ḳhuub samjhaya hai ye katib-e-qismat ne hamen

jo mayassar ho jahan men use qismat samjho

ham-jafaon ko bhi andaz-e-inayat samjhen

aur tum shukr-e-sitam ko bhi shikayat samjho

meri ankhon men abhi ashk bahut baaqi hain

tum jo mahfil men charaghon ki zarurat samjho

ai ‘saba’ kyuun ho dar-e-ghair pe tauhin-talab

apne hi dar ko hamesha dar-e-daulat samjho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aag Pani Se Darta Hua Main Hi Tha

Kisi Se Aur to Kya Guftugu Karen Dil Ki

poet

Hae Us Shokh Ka Andaz Se Aana Shab-E-Wasl

rehana-roohi

dil Ke Bahlane Ka Saman Na Samjha Jae

Ghaza to Tera Utar Gaya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet