• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lafz Nagin Ki Tarah Daste Hain Goyai Mein

Lafz Nagin Ki Tarah Daste Hain Goyai Mein

poet

lafz nagin ki tarah Daste hain goya.i men

ḳhamushi zahr mila deti hai tanha.i men

dil ki baton ko zaban par nahin aane dete

kitni zanjiren nazar aati hain yakja.i men

Thahre paani men gira sang ravani koi

chahiye taaza hua ruuh ki gahra.i men

kya nazar aa.ega mausam ke nashe men tujh ko

kitne patte hain ki uḌ jaate hain purva.i men

shab se pahle hi koi chand nikalo varna

dil bhi niklega andheron ki pazira.i men

khul ga.i aankh to ḳhauf aane laga hai ḳhud se

gham na ho jaa.en kahin apni hi pahna.i men

kis ke nazare ki ḳhvahish men giraftar hue

zaḳhm ankhon ke mile dil ki masiha.i men

Duub kar phir koi ubhra na safina gham ka

kitne tufan hain tire jism ki ra.ana.i men

mujh se puchho ki bayaban-e-safar kaisa hai

umr guzri hai miri badiya-paima.i men

ham bhi mar ja.enge jiine ki havas men aḳhir

kaam a.enge usi ma.arka-ara.i men

hansne valon men ka.i apne bhi shamil the ‘nadim’

shakl pahchani ga.i apni bhi rusva.i men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dil Ka Mausam Zard Ho to Kuchh Bhala Lagta Nahin

Dil-Mohalla Ghulam Ho Jae

akbar-allahabadi

Hawa-E-Shab Bhi Hai Ambar-Afshan Uruj Bhi Hai Mah-E-Mubin Ka

noshi-gilani

Mohabbaten Jab Shumar Karna To Sazishen Bhi Shumar Karna

adil-mansuri

Budh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet