pahle itna to mira haal kabhi zaar na tha
aah dil-soz na thi naala sharar-bar na tha
kyon pasheman kiya ai dil-e-nadan un ko
qissa-e-ḳhun-e-jigar qabil-e-iz.har na tha
zikr-e-farhad sahi qissa-e-mansur sahi
husn kis rang men rusva sar-e-bazar na tha
justuju is chaman-ara ki liye phirti thi
varna gulshan se mujhe koi sarokar na tha
dil ki duniya thi ik ummid pe qaa.em varna
jaan dena shab-e-furqat hamen dushvar na tha
is tarah sunta huun ahval-e-nasheman goya
mujh ko gulshan se kabhi koi sarokar na tha
ai ‘rashid’ ab vo zamana hamen yaad aata hai
jab gham-e-ishq to kya koi bhi azar na tha
Leave a Reply