qadam shabab men aksar bahakne lagta hai
bhara ho jaam tu az-ḳhud chhalakne lagta hai
koi charagh andheron men jab nahin jalta
kisi ki yaad ka jugnu chamakne lagta hai
shab-e-firaq mujhe niind jab nahin aati
ye kis ka haath mira sar thapakne lagta hai
Leave a Reply