• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ittifaqat

Ittifaqat

noon-meem-rashid

aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab men bhii,

jism hai khvab se lazzat-kash-e-khamyaza tira

tere mizhgan ke tale niind ki shabnam ka nuzul

jis se dhal jaane ko hai ghaza tira

zindagi tere liye ras bhare khvabon ka hujum

zindagi mere liye kavish-e-bedari hai:

ittifaqat ko dekh

is hasin raat ko dekh

tod de vahm ke jaal

chhod de apne shabistanon ko jaane ka khayal,

khauf-e-mauhum tiri ruuh pe kya taari hai!

itna be-sarfa nahin tera jamal

is junun-khez hasin raat ko dekh

aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab men bhii,

tishnagi ruuh ki asuda na ho

jab tira jism javani men hai nisan-e-bahar

rang-o-nikhat ka fishar!

phuul hain, ghaas hai, ashjar hain, divaren hain

aur kuchh saae ki hain mukhtasar o tira-o-tar,

tujh ko kya is se gharaz hai ki khuda hai ki nahin?

dekh patton men larazti hui kirnon ka nafuz

sarsarati hui badhti hai ragon men jaise

avvalin bada-gusari men nai tund sharab

tujh ko kya is se gharaz hai ki khuda hai ki nahin

kahkashan apni tamannaon ka hai rah-guzar

kaash is raah pe mil kar kabhi parvaz karen

ik nai ziist ka dar baaz karen!

asman duur hai lekin ye zamin hai nazdik

aa isi khaak ko ham jalva-gah-e-raz karen!

ruhen mil sakti nahin hain to ye lab hi mil jaen,

aa isi lazzat-e-javed ka aghaz karen!

subh jab baagh men ras lene ko zambur aae

us ke bose se hon madhosh saman aur gulab

shabnami ghaas pe do paikar-e-yakh-basta milen,

aur khuda hai to pasheman ho jaae!

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Duniya Sang-O-Ahan Unki Duniya Chand-Sitare

Mat Puchh Ki Is Paikar-E-KHush-Rang Mein Kya Hai

jaun-eliya

Sal-Ha-Sal Aur Ek Lamha

afzal-naved

Hai Usi Shahr Ki Galiyon Mein Qayam Apna Bhi

poet

Raqibon Ka Mujhse Gila Ho Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet