
Arif Imam
us gali se mire guzarne tak
sab tamasha hai mere marne tak
tu miri jaan raqs men rahiyo
gardish-e-kun-fakan Thaharne tak
vasvason se bhara hua tha dil
us ki chaukhaT pe sar ko dharne tak
kitne sahra utar ga.e mujh men
ik subu aarzu ka bharne tak
kitne aalam guzar ga.e mujh par
raqs karne se sajda karne tak
ḳhuun kitna baha tha maqtal men
meri ankhon men ḳhuun utarne tak

Leave a Reply