pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho
nazzara-gah men asar-e-ma-siva na ho
maana miri qubul nahin hai dua na ho
itna hi ho ki us pe asar ghair ka na ho
kyuun kar kahun ki paas unhen ghair ka na ho
jo ghusse men bhi kahte hain tera bura na ho
us parde men to kitne gareban chaak hain
vo be-hijab hon to khuda jaane kya na ho
takiye men kya rakha hai khat-e-ghair ki tarah
dekhun to main navishta-e-qismat mira na ho
mil kar gale vo karte hain khanjar ki tarah kaat
is par bhi kah raha huun ki mujh se juda na ho
muusa ka haal dekh ke dil kanpne laga
ab to dua hai un se mira samna na ho
vo baar baar mera lipatna shab-e-visal
un ka jhijak ke kahna koi dekhta na ho
‘bedam’ ki zindagi hai isi chhed-chhad men
tark-e-vafa ki tarh se tark-e-jafa na ho
Leave a Reply