numayan jab vo apne zehn ki tasvir karta hai
har ik ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gir karta hai
vo kyuun masrur hota hai hamara khuun bahne se
sar-e-haq kis liye zalim tah-e-shamshir karta hai
vafa ka naam leta hai vafa-na-ashna ho kar
vo khud ko intihai parsa taabir karta hai
jise mahrum hona hai vahi hai mutmain yaaro
jo hai nusrat ka talib har qadam tadbir karta hai
har ik insan ke aamal bhi yaksan nahin hote
koi ghar tod deta hai koi taamir karta hai
sadaqat par kabhi un ka asar hone nahin paata
vo apne karnamon ki bahut tash.hir karta hai
koi bhi masala ‘abrar’ hal hone nahin paata
masail vo hamare surat-e-kashmir karta hai
Leave a Reply