
Kumar Vishwas
tumhen jiine men asani bahut hai
tumhare ḳhuun men paani bahut hai
kabutar ishq ka utre to kaise
tumhari chhat pe nigarani bahut hai
irada kar liya gar ḳhud-kushi ka
to ḳhud ki aankh ka paani bahut hai
zahar suuli ne gaali goliyon ne
hamari zaat pahchani bahut hai
tumhare dil ki man-mani miri jaan
hamare dil ne bhi maani bahut hai

Leave a Reply