jab kisi ne aan kar dil se mire purḳhash ki
baat tab ashiq-gari ki main jahan men faash ki
kya kahun jis ne kiya is husn ko arasta
chuum liije ungliyan yaaro usi naqqash ki
ai musavvir jo hua manqush tere haath se
vo kahan tasvir ban sakti kisi se qaash ki
kal tire kuche men main ja kar ke sar apna paTak
ro paḌa tujh ko nahin paaya bahut talash ki
yaaro saaqi aur sharab-o-sabza maujud aaj hai
‘afridi’ hai kabab-e-dil pe ja shabash ki
Leave a Reply