gham-e-darun ka koi tarjuman nahin na sahi
jo zaḳhm-e-dil bhi dahan-e-fughan nahin na sahi
ye kam nahin hai ki ankhon men dil utar aaya
tumhare samne munh men zaban nahin na sahi
yahan to koi nahin jis ka dil hila doge
jigar men taqat-e-zabt-e-fughan nahin na sahi
tujhi se shikva-e-dard-e-nihan karen ai dil
tire siva jo koi razdan nahin na sahi
chaman men aag laga di jo barq-e-sozan ne
to shaḳh-e-gul pe mira ashiyan nahin na sahi
abhi kuchh aur gharaunde banao yadon ke
ghubar-e-rah to hai karvan nahin na sahi
zamin to paanv tale hai yahi ghanimat hai
hamare zer-e-qadam asman nahin na sahi
Leave a Reply