aftab ab nahin nikalne ka
daur aaya sharab dhalne ka
saanp kahte hain zulf ko shair
kaam karte hain munh kuchalne ka
laakh ham chikni-chupdi baat karen
un ka dil ab nahin phisalne ka
sifat-e-lab men sher kahte hain
ab irada hai laal ugalne ka
kutte hain jo apna ham siina
hai evaz chhatiyan masalne ka
kyuun na har tarz men ho baat nai
paan hai qaabu zaban badalne ka
ek bose ki bhi jamae ab
qasd hai un ko missi malne ka
nakhl-e-matam ke saae men na thahar
hai musafir jo qasd chalne ka
chashm-poshi se tifl-e-ashk apna
dhang sikha hai ab machalne ka
hifz-e-tir-e-nigah hai ain khata
nahin paigham maut talne ka
ham bhi khela karenge jaan par ab
shaghl achchha hai dil bahalne ka
‘mehr’ hirba se dosti ta-chand
gham nahin rang ke badalne ka
Leave a Reply