jo bhale bure ki atkal na mira shiar hota
na jaza-e-khair paata na gunahgar hota
mai-e-be-khudi ka saaqi mujhe ek jura bas tha
na kabhi nasha utarta na kabhi khumar hota
main kabhi ka mar bhi rahta na gham-e-firaq sahta
agar apni zindagi par mujhe ikhtiyar hota
ye jo ishq-e-jan-sitan hai ye jo bahr-e-be-karan hai
na suna koi safina kabhi is se paar hota
kabhi bhuul kar kisi se na karo suluk aisa
ki jo koi tum se karta tumhen nagavar hota
hai is anjuman men yaksan adam-o-vajud mera
ki jo main yahan na hota yahi karobar hota
Leave a Reply