aabru kya pairahan jab be-gareban rah gaya
baare aansu puchh ga.e mere ki daman rah gaya
hain yahin ke ye bhi phir a.amal kyon jaate hain saath
jo kiya tha ham ne yaan paida vo sab yaan rah gaya
aadmi par raz-e-husn-e-be-nishan kyon kar khule
jis qadar zahir hua utna hi pinhan ho gaya
kha.en kyon gham gar nahin baaqi nishan-e-ju-e-shir
kya vo shirin rah ga.i us ka shabistan rah gaya
kal ham un se mil ke kah aa.e hain apna dard-e-dil
phir bhi ‘nazim’ shikva-e-bedad-e-darban rah gaya
Leave a Reply