zara batla zaman kya hai makan ke us taraf kya hai
agar ye sab guman hai to guman ke us taraf kya hai
agar patthar se bikhre hain to aḳhir ye chamak kaisi
jo maḳhzan nuur ka hai kahkashan ke us taraf kya hai
ye kya rasta hai aadam gamzan hai kis masafat men
nahin manzil to phir is karvan ke us taraf kya hai
ajab patal hai darvaza o divar se aari
zamin-andar-zamin be-nishan ke us taraf kya hai
tah-e-ab-e-ravan sunta huun ye sargoshiyan kaisi
sukunat kis ki hai aur astan ke us taraf kya hai
samajhte aa rahe the jis ḳhala ko shahr-e-gum-gashta
vo shai kya hai ḳhala-e-be-karan ke us taraf kya hai
nahin khulta ki aḳhir ye tilismati tamasha sa
zamin ke is taraf aur asman ke us taraf kya hai
Leave a Reply