• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Ishq Ajab Lamha-E-Tauqir Hai Jaanan

Ye Ishq Ajab Lamha-E-Tauqir Hai Jaanan

najma-shaheen-khosa

ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai janan

khud mera khuda us ki hi tafsir hai janan

jo naam hatheli ki lakiron men nahin tha

kyuun aaj talak dil pe vo tahrir hai janan

us khvab ki taabir to mumkin hi nahin thi

ankhon men magar us ki hi tasir hai janan

maana ki tire hathon men hain phuul abhi tak

lekin tire pairon men jo zanjir hai janan

kya janiye kis roz bikhar jaae kahin bhi

is aas ki dil men jo ik tanvir hai janan

ye rog kahin mujh ko hi mismar na kar de

aa laut kar aa tu hi to iksir hai janan

tu hijr men duubi hui nayya ka kinara

jivan ki tire paas hi tadbir hai janan

ye zakhm judai ke kabhi silne nahin hain

tu jaan le apni yahi taqdir hai janan

us aag ke shoalon men vo phulon ka tabassum

ik sajda-e-be-misl ki tasvir hai janan

ab din ki talab hi nahin ‘shahin’ mujhe to

ik shaam hi ab to miri jagir hai janan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pazhmurda Dil Hai Wasl Ke Arman Ko Kya Hua

Kya Hi Tapta Hai Sulagta Hai Dhuan Deta Hai

Maulana Rumi

Talib-O-Matlub

shabnam-shakeel

Ham-Nashino Kuchh Nahin Rakkha Yahan Par Kuchh Nahin

Hashr Kaisa Raha Bapa Mujh Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet