shiddat-e-jazb men jab alam-e-hu bolta hai
mai-e-gul-rang chhalakti hai subu bolta hai
dil ka a.ina khula ho to sukut-e-shab men
main bayan karta huun ḳhud ko kabhi tu bolta hai
jagmaga uThta hai dam-bhar men chaman-zar-e-ḳhayal
chand pahlu men utar kar lab-e-ju bolta hai
mausam-e-barf men har raat guzarti hai magar
gahe-gahe sahi ḳhvabida lahu bolta hai
kyuun darida hai badan kya kahun kis se bolun
main kahun ya na kahun tar-e-rafu bolta hai
dast-e-qatil ka hunar laakh chhupa.e lekin
ab-e-ḳhanjar na sahi zaḳhm-e-gulu bolta hai
lazzat-e-sajda ata hone se pahle hi ‘shamim’
har bun-e-mu se mira ab-e-vuzu bolta hai
Leave a Reply