piine den mai-kashon ko jahan bhi piya karen
sajda vuzu karen na karen bas dua karen
kanon ne kya suna tha zabanon ne kya kaha
insaniyat ghaTi hai yahan kam mila karen
ru-posh phir rahe hain riyasat ke badshah
gaddi pe phir ye kaun hai chaliye pata karen
amn-e-jahan ko jhonk di apni javaniyan
is se ziyada ‘dip’ bhala aur kya karen
Leave a Reply