koi mausam na kabhi kar saka shadab hamen
shahr men jiine ke aa.e nahin adab hamen
bahte dariya men koi aks Thaharta hi nahin
yaad aata hai bahut gaanv ka talab hamen
is tarah pyaas bujha.i hai kahan dariya ne
ek qatre ne kiya jis tarah sairab hamen
jhilmili raushni har-samt nazar aati hai
khinchti hai koi qindil tah-e-ab hamen
kya pata kaun se janmon ka hai rishta apna
DhunD hi lete hain har bahr men girdab hamen
din ulaT deta hai har ḳhvab ki ta.abir magar
raat dikhlati hai phir koi naya ḳhvab hamen
be-aman ham jo hue hain to hamen yaad aaya
roz dete the sada mimbar-o-mehrab hamen
kaash ma.alum ye pahle hamen hota ‘alam’
dekhna chahta tha vo bhi zafar-yab hamen
Leave a Reply