kamal-e-ishq hai divana ho gaya huun main
ye kis ke haath se daman chhuda raha huun main
tumhin to ho jise kahti hai nakhuda duniya
bacha sako to bacha lo ki dubta huun main
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhara raaz tumhin se chhupa raha huun main
is ik hijab pe sau be-hijabiyan sadqe
jahan se chahta huun tum ko dekhta huun main
batane vaale vahin par batate hain manzil
hazar baar jahan se guzar chuka huun main
kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahin sakta
kabhi ye vahm ki khud bhi chhupa hua huun main
mujhe sune na koi mast-e-baada-e-ishrat
‘majaz’ tuute hue dil ki ik sada huun main
Leave a Reply