
Mardan Ali Khan Rana
kar chuka qaid se jis vaqt ki azad mujhe
haath malta hi raha dekh ke sayyad mujhe
umr bhar yuun to kabhi li bhi na karvat pas-e-marg
haif rah-rah ke kiya karte hain ab yaad mujhe
hukm darban ko hai zinhar na aane paae
ghair ke samne karte hain magar yaad mujhe
baghban gulshan-e-alam ka main vo bulbul huun
taer-e-sidra kaha karta hai ustad mujhe
ham-safiron ko mira haal khulega pas-e-marg
dekhna dil men karenge vo bahut yaad mujhe
sahn-e-gulshan men mire phuul karenge gulchin
roega suuna qafas dekh ke sayyad mujhe
rah-e-ulfat men mulaqat hui kis kis se
dasht men qais mila koh men farhad mujhe
ghaib se hote hain ilqa mire dil men mazmun
dekh faizan sukhan ka hai khuda-dad mujhe
sabz baagh aata hai duniya ka nazar jab ‘raana’
yaad aati hai bahut hasrat-e-shaddad mujhe

Leave a Reply