itrata gareban par tha bahut, rah-e-ishq men kab ka chaak hua
vo qissa-e-azadana-ravi, us zulf ke hathon paak hua
kya kya na paḌha is maktab men, kitne hi hunar sikhe hain yahan
iz.har kabhi ankhon se kiya kabhi had se siva bebak hua
jis din se gaya vo jan-e-ghazal har misre ki surat bigḌi
har lafz pareshan dikhta hai, is darja varaq namnak hua
ḳhush rahiyo sun ai bad-e-saba kahin aur tu apne naaz dikha
tu jis ke baal uḌati thi vo shaḳhs to kab ka ḳhaak hua
Leave a Reply