ḳhal-e-ruḳhsar ko dagh-e-mah-e-kamil bandha
chashm-e-maḳhmur ko kaunain ka hasil bandha
ham ne is shahr-e-sitamgar ke har ik zarre ko
zauq-e-sajda ki qasam sajda-gah-e-dil bandha
ham ne har vadi-e-pur-ḳhar ko zinat baḳhshi
sar pe har ḳhaar ke ik turra-e-manzil bandha
koi dekhe to sahi hausla-mandi apni
ham ne tufan ki har ik mauj ko sahil bandha
jazba-e-dil ko ba-andaz-e-digar main ne ‘hayat’
kabhi kashti kabhi tufan kabhi sahil bandha
Leave a Reply