husn to bas do tarah ka khuub lagta hai mujhe
aag men jalta hua
ya barf men soya hua
darmiyan men kuchh nahin
sirf halka sa achambha aks sa udta hua
ik khayal-angez qissa apni aadhi maut ka
ik alam-afza fasana khun-e-dil ke shauq ka
ik kinare se sada do to vo chalti jaegi
duur tak apne gunah par haath malti jaegi
Leave a Reply