jis ka koi bhi nahin us ka ḳhuda hai yaaro
main nahin kahta kitabon men likha hai yaaro
muḌ ke dekhun to kidhar aur sada duun to kise
mere maazi ne mujhe chhoḌ diya hai yaaro
is saza se to mira ji hi nahin bharta hai
zindagi kaise gunahon ki saza hai yaaro
shab hai is vaqt koi ghar na khula paoge
aao mai-ḳhane ka darvaza khula hai yaaro
koi karta hai dua.en to ye jal jaata hai
mera jivan kisi mandir ka diya hai yaaro
main andhere men rahun ya main ujale men rahun
aisa lagta hai koi dekh raha hai yaaro
haal ka zaḳhm to maazi se bahut gahra hai
aaj zaḳhmi mira saaya bhi hua hai yaaro
intizar aaj ke din ka tha baḌi muddat se
aaj us ne mujhe divana kaha hai yaaro
Leave a Reply