• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe khaDa Hun

Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe khaDa Hun

lo aaj samundar ke kinare pe khaḌa huun

gharqab safinon ke sisakne ki sada huun

ik ḳhak-ba-sar barg huun Tahni se juda huun

joḌega mujhe kaun ki main TuuT gaya huun

ab bhi mujhe apna.e na duniya to karun kya

mahaul se paiman-e-vafa bandh raha huun

mustaqbil-e-but-ḳhana ka hafiz hai ḳhuda hi

har but ko ye da.ava hai ki ab main hi ḳhuda huun

afkar-e-do-alam na jhinjhoḌen mujhe is vaqt

apne hi ḳhayalat ki daldal men phansa huun

manzil ka to irfan nahin itni ḳhabar hai

jis samt se aaya tha usi samt chala huun

muddat hui guzra tha idhar se mira saaya

kab se yunhi fōtpath pe ḳhamosh paḌa huun

huun aap ka bas mujh ko hai itna hi ghanimat

is se koi matlab nahin achchha ki bura huun

pahnao mire paanv men zanjir-e-bu-e-gul

avara chaman men sifat-e-bad-e-saba huun

chheḌo na mujhe jan-e-‘ziya’ fasl-e-junun men

kya main bhi koi naghma-e-andoh-ruba huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apni Jab Wafaon Par Un Ko Bad-Guman Dekha

poet

Mohabbat Ek Gham-E-Na-iKHtitam Hoti Hai

afzal-hazarvi

Yaadon Ki Jagir Na Hoti To Main Yaro Kya Karta

Sufi

Takhallus

Sab Sitam Yaad Hain Sari Hamdardiyan Yaad Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet