• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal

Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal

poet

kya kahun tujh se miri jaan main shab ka ahval

tujh pe raushan hai dil-e-vasl-talab ka ahval

huun main ik ashiq-e-be-bak o kharabati o rind

mujh se mat puchh mire ilm-o-adab ka ahval

dil ko khali karun ro ro ke magar main be-kas

kaun sunta hai mire ranj-o-taab ka ahval

mahram-e-raz nahin milta koi dard hai ye

kya tabibon se kahun ishq ke tab ka ahval

lutf hai sab se sazavar-e-ghazab ek huun main

khuub dekha jo tire lutf o ghazab ka ahval

ai miyan aaj to do baat miri bhi sun le

kaha chahun huun main tujh se bhala kab ka ahval

zor hai jaise ki nisbat namak o riish ke biich

main hi samjhun tiri kaifiyyat-e-lab ka ahval

nahin dam marne ki mujh ko tire aage majal

haae sunta hai tu kis tarah se sab ka ahval

kya koi khush ho mire sher ko sun ke ‘hasrat’

dard-e-dil hai ye nahin aish-o-tarab ka ahval

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raat Aa baiThi Hai Pahlu Mein Sitaro taKHliya

aadil-raza-mansoori

Na Hath Bag Par Hai Na Pa Hai Rikab Mein

poet

Bahaar Aa Kar Jo Gulshan Mein Wo Gaen

Rahi Firaq Mein Bhi Shakl Ru-Ba-Ru Teri

parveen-fana-syed

kash tufan mein safine ko utara hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet