Aaina Dekhun Magar Kya Dekhun

aa.ina dekhūñ magar kyā dekhūñ

ḳhud ko hāthoñ se phisaltā dekhūñ

manzil-e-shauq kahīñ aur nahīñ

Duub jā.ūñ to kinārā dekhūñ

koī qātil hī kahīñ mil jaa.e

ek insān to zinda dekhūñ

vo jo aayā hai to kyā aayā hai

sāmne aur hī chehrā dekhūñ

ḳhuld ko is liye chhoḌ aayā thā

ye tamannā thī ki duniyā dekhūñ

aaj phir dil meñ vahī ḳhvāhish hai

ya.anī kuchh us se nirālā dekhūñ

aur chārā nahīñ ‘tāsīr’ koī

jo dikhā.e ye zamānā dekhūñ

Leave a Comment