Asnam-E-Mal-O-Zar Ki Parastish Sikha Gai

asnām-e-māl-o-zar kī parastish sikhā ga.ī

duniyā mujhe bhī ābid-e-duniyā banā ga.ī

vo sañg-e-dil mazār-e-vafā par ba-nām-e-ishq

aa.ī to mere naam kā patthar lagā ga.ī

mere liye hazār tabassum thī vo bahār

jo āñsuoñ kī raah pe mujh ko lagā ga.ī

gauhar-farosh shabnamī palkoñ kī chhāñv meñ

kyā aag thī jo ruuh ke andar samā ga.ī

mere suḳhan kī daad bhī us ko hī dījiye

vo jis kī aarzū mujhe shā.ir banā ga.ī

‘sahbā’ vo raushnī jo bahut mehrbān thī

kyuuñ mere rāste meñ añdhere bichhā ga.ī

Leave a Comment