mire kamre men puuri chandni hai
faqat teri kami baaqi rahi hai
main sahra men tasalli se rahunga
musalsal tishnagi hi tishnagi hai
ḳhamoshi oḌh kar baiThe hain sab peḌ
ye barish aaj kitni ḳhushk si hai
hava aa.i hai kis duniya se ho kar
har ik Tahni shajar ki kanpti hai
abhi to sardiyon ka daur hoga
faza rona tha jitna ro chuki hai
main har dipak bujhata ja raha huun
meri duniya men itni raushni hai
daricha ab nahin khulta tumhara
nazar lekin kisi ki manti hai
vo jo hassas laḌka mar gaya tha
ab us ka shauq keval sha.iri hai
kabhi Thahra nahin phulon ka mausam
dilon ka TuuT jaana qudrati hai
Leave a Reply