• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hargiz Kabhi Kisi Se Na Rakhna dila Gharaz

Hargiz Kabhi Kisi Se Na Rakhna dila Gharaz

shad-azimabadi

hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz

jab kuchh gharaz nahin to zamane se kya gharaz

phaila ke haath muft men honge zalil ham

mahrum tere dar se phiregi dua gharaz

duniya men kuchh to ruuh ko is jism se hai kaam

milta hai varna kaun kisi se bila gharaz

vasl o firaq o hasrat o ummid se khula

hamrah hai har ek baqa ke fana gharaz

ik phir ke dekhne men gai saikdon ki jaan

teri har ik ada men bhari hai jafa gharaz

dekha to tha yahi sabab-e-hasrat-o-alam

majbur ho ke tark kiya muddaa gharaz

kyunkar na ruuh o jism se ho chand din milap

is ko juda gharaz hai to us ko juda gharaz

ilzam ta-ki sar pe kisi tarah ka na ho

ai ‘shad’ dhundti hai bahane qaza gharaz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sajde Jabin-E-Shauq Ke Ab Raegan Nahin

Wo Baat Baat Pe Kahta Hai Bewafa Mujhko

Un Se Izhaar-E-Shikayat Karun Ya Na Karun

zehra-nigaah

Yun Kahne Ko Pairaya-E-Izhaar Bahut Hai

poet

Hum dil O Jaan Se Kharidar Hain Kin Ke Un Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet