kisi but ki ada ne maar Daala
bahane se ḳhuda ne maar Daala
jafa ki jaan ko sab ro rahe hain
mujhe un ki vafa ne maar Daala
juda.i men na aana tha na aa.i
mujhe zalim qaza ne maar Daala
musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne maar Daala
unhin ankhon se jiina chahta huun
jin ankhon ki haya ne maar Daala
hamara imtihan aur ku-e-dushman
kisi ne be-Thikane maar Daala
paḌa huun is tarah us dar pe ‘muztar’
koi dekhe to jaane maar Daala
Leave a Reply