kaash iqrar kar liya hota
do ghaḌi pyaar kar liya hota
haan vahi zindagi ka maqsad tha
us se iz.har kar liya hota
gar charaghon men ḳhuun baaqi tha
shab ko talvar kar liya hota
zinda rahne ka ik vasila tha
gham trahdar kar liya hota
koi shikva nahin ‘tapish’ tum se
varna sarkar kar liya hota
Leave a Reply