fariyad ki vo shokh sitamgar na aaya
mujh qatl kuun le haath men talvar na aaya
main pamba-naman narm kiya bistar-e-tan kuun
vo piu qadam dharne ko yakbar na aaya
chhut aah pichhe kaun mire dard ka ahval
mujh dukh ki khabar lene vo gham-khvar na aaya
jaane hai vafadar mujhe dil mane lekin
dahshat se raqiban ki vo na-char na aaya
aram gaya bhuuk nahin niind gai bhuul
afsos ki vo tala-e-bedar na aaya
bulbul ki naman aas hai nit baas ki mujh kuun
sad-haif mire paas vo gulzar na aaya
bazar-e-sukhan garm kiya us ki sifat suun
mujh sher ka haihat kharidar na aaya
likh baar saha baagh men maali ka tahura
par sair katin vo gul-e-be-e-khar na aaya
ai ‘mubtala’ ye baat likha dil ke upar main
ik roz mujh aghosh men vo yaar na aaya
Leave a Reply