ankhon ki pyaas bas bujhani hai
ziist yasrib hi men batani hai
aarzu puuri ho ḳhudavanda
varna to har shai be-ma.ani hai
un ke hi dar ka hai sabhi sadqa
mere ash.ar men ravani hai
tu mohammad ke ishq men kho ja
ye mohabbat hi javedani hai
zindagi aap par nichhavar hai
aap bin ziist be-ma.ani hai
hai shafa.at ka aasra varna
sharmsari bhari kahani hai
ho arab ya ki ho najaf ‘shamsa’
shah-e-ummat ki hukmrani hai
Leave a Reply