• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / muKHtalif Tariqon Se Ranj Umr Bhar Paya

muKHtalif Tariqon Se Ranj Umr Bhar Paya

poet

muḳhtalif tariqon se ranj umr bhar paaya

zindagi to kya paa.i ham ne dard-e-sar paaya

dost se tavaqqo thi kuchh karam-numa.i ki

main tavil shikve ko muḳhtasar na kar paaya

vaqi.a sahi lekin jurm hai ye kahna bhi

main ne apne aalam se un ko be-ḳhabar paaya

bul-havas men aur mujh men farq kuchh batao to

kis ko durbin paaya kis ko kam-nazar paaya

is jahan-e-rangin se mutma.in nahin koi

main ne ahl-e-duniya ko azim-e-safar paaya

dil men un ki aamad se nuur ki kiran phuTi

raat ke andhere ne jalva-e-sahar paaya

kaash abhi hayat apni aur kuchh vafa karti

main tire taghaful ka shukr ada na kar paaya

ham ne kya taraqqi ki kasb-e-ilm-o-fan kar ke

bavajud-e-koshish bhi ḳhud ko be-hunar paaya

ab to hadse dil ke yaad bhi nahin ‘nudrat’

kis maqam par khoya kis maqam par paaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ishrat-afreen

Gulab Aur Kapas

Nigah-E-Tishna Se Hairat Ka Bab Dekhte Hain

Marhala Raat Ka Jab Aaega

Bahaaren Rang Lati Hain Chaman Aabaad Hota Hai

poet

Ku-E-Jaanan Mein Ada Dekhiye Diwanon Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet