vo husn kya jo kisi dil ka mudda.a na hua
vo ishq kya jo mohabbat ki intiha na hua
bachega kya koi un ki nazar ke tiron se
nishana un ki nazar ka kabhi ḳhata na hua
koi payam na ham nama-bar ko de paa.e
salam kahte hi fil-faur vo ravana hua
hamara zikr pahunchte hi un ki mahfil men
zamane bhar ki zaban par chaḌha fasana hua
ḳhuda ke bande hi bandon pe zulm karte hain
ḳhuda ka shukr hai banda abhi ḳhuda na hua
tire huzur pahunch kar bhi sab rahe mahrum
kisi ko hausla-e-arz-e-mudda.a na hua
buton ki yaad men ‘azam’ basar hui apni
ḳhuda ki yaad ka farz ek din ada na hua
Leave a Reply