hijab uTThe hain lekin vo ru-ba-ru to nahin
sharik-e-ishq kahin koi aarzu to nahin
ye ḳhud-e-farebi-e-ehsas-e-arzu to nahin
tiri talash kahin apni justuju to nahin
sukut vo bhi musalsal sukut kya ma.ani
kahin yahi tira andaz-e-guftugu to nahin
unhen bhi kar diya betab-e-arzu kis ne
miri nigah-e-mohabbat kahin ye tu to nahin
kahan ye ishq ka aalam kahan vo husn-e-tamam
ye sochta huun ki main apne ru-ba-ru to nahin
nigah-e-shauq se ghafil samajh na jalvaon ko
sharab kuchh bhi ho be-gana-e-subu to nahin
ḳhushi se tark-e-mohabbat ka ahd le ai dost
magar ye dekh tira dil lahu lahu to nahin
na gard-e-rah hai ruḳh par na aankh men aansu
ye justuju bhi sahi us ki justuju to nahin
chaman men rakhte hain kanTe bhi ik maqam ai dost
faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin
Leave a Reply