hal-e-dil kuchh jo sar-e-bazm kaha hai main ne
vo ye samjhe hain ki ilzam diya hai main ne
munh to phera hai kabhi ye bhi to socha hota
tumhen chaha hai tumhen pyaar kiya hai main ne
la sakoge sar-e-peshani vo tabani-o-nur
tumhen ash.ar men jo baḳhsh diya hai main ne
kya kahin siikh liye hain na.e andaz-e-fareb
bandhte ho na.e paiman ye suna hai main ne
tum ne duniya ki tarah aankh fira.i hai to kya
ye bhi ik jabr isi dil pe saha hai main ne
zabt ki daad na di koi zamane ne mujhe
ḳhuun ka ghunT ba-har-hal piya hai main ne
ye gham-e-talḳhi-e-dauran ye mohabbat ka junun
ḳhuub ye dard bhi ik mol liya hai main ne
Leave a Reply