• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai dil Mein Khuda Ki Qasam

Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai dil Mein Khuda Ki Qasam

poet

tire vaste jaan pe khelenge ham ye samai hai dil men khuda ki qasam

rah-e-ishq se ab na hatenge qadam hamen apne hi sidq-o-safa ki qasam

mire purze agarche udaiyega to gul-e-zakhm se mahkegi ishq ki bu

khinche tegh tiri to ragad duun gulu mujhe tere hi jaur-o-jafa ki qasam

mira naam jo yaar hai puchh raha main bata duun tujhe jo laqab hai mira

mujhe kahte hain kushta-e-naz-o-ada tire ghamza-e-hosh-ruba ki qasam

lab-e-gor agarche judai men huun magar aina-e-dil ki safai men huun

tira mahv khuda ki khudai men huun mujhe apne hi ishq-o-vafa ki qasam

kiye tum ne jo zulm vo main ne sahe miri ankhon se barson hi ashk bahe

koi ghamza-o-ishva ab uth na rahe tumhen apne hi naz-o-ada ki qasam

shab-e-hijr men aankh jo band hui tiri zulf ki yaad do chand hui

miri saans ulajh ke kamand hui mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam

tiri chaal se hashr bapa jo kiya tire khauf se haal miri ye hua

hui jaati thi ruuh badan men fana mujhe amad-e-roz-e-jaza ki qasam

mire hathon men khuun malo to zara tumhin dekho to rang dikhata hai kya

karo aaj numud-e-shahid-e-ada tumhen shokhi-e-rang-e-hina ki qasam

kaha laila ne hai mujhe qais ka gham mire dil ko hai us ke junun ka alam

nahin chain judai men ab koi dam use vahshi-e-be-sar-o-pa ki qasam

tiri bazm ka misl hi yaar nahin ki jinan men ye naqsh-o-nigar nahin

kahin tere chaman se bahar nahin mujhe bagh-e-iram ki faza ki qasam

gham-e-daulat-e-vasl men ho ke hazin rah-e-ishq-o-vafa men hain khak-nashin

havas ab hamen jah-o-hasham ki nahin hamen tere hi nashv-o-numa ki qasam

ye dua hai qafas men bara-e-chaman ki gulon se khuda na chhudae chaman

mujhe rakhti hai zinda hava-e-chaman gul-o-ghuncha-o-bad-e-saba ki qasam

tira shefta huun miri tujh men hai jaan tah-e-tegh na kar mujhe jan-e-jahan

mira ghusse men aa ke mita na nishan tujhe jah-o-jalal-e-khuda ki qasam

ye havas hai ki dard-e-jigar men marun jo masih bhi aae to dam na bharun

kabhi tere siva na ilaaj karun mujhe tere hi dast-e-shifa ki qasam

sharaf us ne diye hamen saikdon dam rahe tinat saaf se paak hi ham

kahi baat agar to sach hi kahi kabhi jhuut na bole khuda ki qasam

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nale Dam Lete Nahin Ya-Rab Fughan Rukti Nahin

Chand Uljhi Hui Sanson Ki Ata Hun Kya Hun

Ghirte Baadal Mein Tanhai Kaisi Lagti Hai

zehra-nigaah

Aaj Ki Baat

Manzil Hai to Ek Rasta-E-Dushwar Mein Gum Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet