• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-Kashi Apni

Faqat Ek Shaghl Bekari Hai Ab Baada-Kashi Apni

faqat ik shaghl bekari hai ab bada-kashi apni

vo mahfil uTh ga.i qaa.em thi jis se sarḳhushi apni

ḳhuda ya na-ḳhuda ab jis ko chaho baḳhsh do izzat

haqiqat men to kashti ittifaqan bach ga.i apni

bas ab guzrenge rah-e-zindagi se be-niyazana

agar tere karam par munhasir hai zindagi apni

bahut ji chahta hai ye faqat naqs-e-basarat ho

baḌi sur.at se duniya kho rahi hai dilkashi apni

ḳhamoshi par bhi hai un ko guman arz-e-tamanna ka

zaban-e-hal se kuchh kah ga.i varaftagi apni

agar tum hans diye ahval-e-dil par kya ta.ajjub hai

ki main ḳhud bhi ba-mushkil zabt karta huun hansi apni

hui hain barishen sang-e-malamat ki bahut lekin

rahe vaz-e-junun qaa.em hai shorida-sari apni

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ramz-Ashna-E-Fasl-E-Bahaaran Koi Na Tha

Koi Hasin Manzar Aankhon Se Jab Ojhal Ho Jaega

Sab Mutmain the Subh Ka aKHbar Dekh Kar

Aaj Phir Dasht Koi Aabla-Pa Mange Hai

Ajab Sada Ye Numaish Mein Kal Sunai Di

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet