zara si baat se manzar badal bhi sakta tha
jo hadisa hua basti men Tal bhi sakta tha
gila na kar miri raftar ka ye bojh bhi dekh
main sab ke saath huun aage nikal bhi sakta tha
hava.en us ke mire darmiyan rahti thiin
qarib hote hue dasht jal bhi sakta tha
chalen vo andhiyan rishta zamin se TuuT gaya
ghana daraḳht abhi phul-phal bhi sakta tha
bas ek pal ne mujhe qaid kar liya ‘anjum’
main jab giraft se us ki nikal bhi sakta tha
Leave a Reply