taDap Alam Mein Nahin Hai Sukun KHushi Mein Nahin

taḌap alam meñ nahīñ hai sukūñ ḳhushī meñ nahīñ

bahut dinoñ se koī lutf zindagī meñ nahīñ

agar ye sach hai to lāzim hai ḳhud-farāmoshī

ḳhud-āgahī ke sivā kuchh ḳhud-āgahī meñ nahīñ

jamī huī hai shab-e-hijr-e-āsmāñ pe nazar

tirī jhalak to sitāroñ kī raushnī meñ nahīñ

jo ahl-e-dil ho to mafhūm-e-ḳhāmushī samjho

ye kyā kahā koī mafhūm ḳhāmushī meñ nahīñ

kamāl-e-dard pe nāzāñ haiñ āshiqī vaale

ma.āl-e-dard abhī zehn-e-āshiqī meñ nahīñ

bas ab to un kī nazar yaad aa ga.ī ‘shāhid’

jo baat un kī nazar meñ hai shā.irī meñ nahīñ

Leave a Comment