samajhte kya hain in do chaar rangon ko udhar vaale
tarang aa.i to manzar hi badal denge nazar vaale
isi par ḳhush hain ki ik dusre ke saath rahte hain
abhi tanha.i ka matlab nahin samjhe hain ghar vaale
sitam ke vaar hain to kya qalam ke dhaar bhi to hain
guzara ḳhuub kar lete hain izzat se hunar vaale
koi surat nikalti hi nahin hai baat hone ki
vahan zo.am-e-ḳhuda-vandi yahan jazbe bashar vaale
mafa.ilun ka paimana bahut hi tang hota hai
jabhi to sher ham kahte nahin hain dil jigar vaale
gharon men the to vus.at dasht ki ham ko bulati thi
magar ab dasht men aa.e to yaad aate hain ghar vaale
jo mustaqbil se pur-ummid ho vo sha.er-e-mutlaq
‘shuja-ḳhavar’ se apni fikr ki islah karva le
Leave a Reply