tere aalam ka yaar kya kahna
har taraf hai pukar kya kahna
uff na ki dard-e-hijr zabt kiya
ai dil-e-be-qarar kya kahna
vaada-e-vasl un se luun kyun-kar
mera kya ikhtiyar kya kahna
kya hi nairangiyan dikhai hain
mere bagh-o-bahar kya kahna
kaise ashiq hain un se jab puchha
bole be-ikhtiyar kya kahna
musht par bhi gulon ke gard rahe
afrin ai hazar kya kahna
tirchhi nazren chhuri katari hain
chashm-e-bad-dur yaar kya kahna
gulshanon men ye rang-rup kaha
la-javab ai nigar kya kahna
dam-e-isa ko maat karti hai
ai nasim-e-bahar kya kahna
imtihan kar chuke to vo bole
ai mire jan-nisar kya kahna
us ke kuche men baith kar na utha
vaah mere ghubar kya kahna
jante hain ki jaan doge ‘sharaf’
us ko phir baar baar kya kahna
Leave a Reply