main ek kanch ka paikar vo shaḳhs patthar tha
so paash paash to hona mira muqaddar tha
tamam raat sahar ki dua.en mangi thiin
khuli jo aankh to suraj hamare sar par tha
charagh-e-rah-e-mohabbat hi ban ga.e hote
tamam umr ka jalna agar muqaddar tha
fasil-e-shahr pe kitne charagh the raushan
siyah raat ka pahra dilon ke andar tha
agarche ḳhana-badoshi hai ḳhushbuon ka mizaj
mira makan to kal raat bhi mo.attar tha
samundaron ke safar men vo pyaas ka aalam
ki farsh-e-ab pe ik karbala ka manzar tha
isi sabab to baḌha e’tibar-e-laghzish-e-pa
hamara josh-e-junun agahi ka rahbar tha
jo mahtab hisar-e-shab-e-siyah men hai
kabhi vo raat ke siine pe misl-e-ḳhanjar tha
main us zamin ke liye phuul chun raha huun ‘ra.is’
mira nasib jahan be-aman samundar tha
Leave a Reply