gali gali tiri shohrat nahin karunga main
ab aisi hijr men halat nahin karunga main
hamesha kaam bigaḌa hai be-qarari ne
vo ab milega to ujlat nahin karunga main
tu paas baiTh mire mujh se baat kar koi
qasam ḳhuda ki shararat nahin karunga main
dukha diya jo mohabbat ne aaj mera dil
to kya dobara mohabbat nahin karunga main
hava-e-sham ki marzi hai jis tarah bhi chale
ab us se koi shikayat nahin karunga main
Leave a Reply