dhund chhai hui hai jhilon par
ud rahe hain parind tilon par
sab ka rukh hai nashemanon ki taraf
bastiyon ki taraf banon ki taraf
apne gulon ko le ke charvahe
sarhadi bastiyon men ja pahunche
dil-e-nakam main kahan jaun
ajnabi shaam main kahan jaun
Leave a Reply