ghar se jaata huun roz shaam se main
raat bhar ke programme se main
ai meri jan-e-intishar-pasand
tang huun tere intizam se main
ye jo laḌta-jhagaḌta huun sab se
bach raha huun qubul-e-am se main
main utara gaya tha arsh se aur
farsh par gir paḌa dhaḌam se main
shakl ka lahiqa nahin ham-rah
jaana jaata huun sirf naam se main
kya kahun uubne laga huun ‘jamal’
ek hi jaise sub.h o shaam se main
Leave a Reply